Virar se Nashik ka Safar: Part 1
Aaj subah mai 7 baje uth gaya tha, aur mujhe Nashik jana tha apne bhai ke paas. Plan tha ki waha se Shirdi Sai Baba ke darshan ke liye bhi jayenge. Subah kaafi energy thi, to jaldi se breakfast kiya aur mummy se kuchh paise liye, kyunki mere paas cash nahi tha, sab kuch online hi tha. Mummy ne kuch chane aur snacks pack kar diye mere liye, safar lamba jo tha.
Virar se Dadar Tak
9:30 baje ki local train pakdi. Jaise hi train me chadha, realize hua ki bilkul bhi jagah nahi hai, pura dabba bhara hua tha. Khade hokar safar karna pada. Dadar tak ka safar pura 1 ghante 10 minute ka tha, aur is bich mere haath dukhne lage the pole pakad pakad ke, lekin adjust karna pada.
Dadar pahunch kar, mujhe Nashik ke liye train pakadni thi. Train ka naam tha "Dulhe Express", jo 12:16 baje aane wali thi. Virar line se central line par shift hona thoda confusing tha, isliye maine ek police uncle se puchha, "Bhaiya, Nashik ka ticket kaha milega?" Unhone bola platform no. 12 par jaao.
Dadar se Nashik Tak
Mai platform no. 12 par gaya aur waha ticket counter se Nashik ka ticket liya, sirf ₹90 ka. Ticket lene ke baad confirm karne ke liye counter wale se puchha, "Nashik ki train kaunse platform par aayegi?" Unhone bola, "Platform no. 10 par jao." Mai turant waha gaya aur ek uncle se baat ki. Unhone bola, "Haan, Dulhe Express isi platform par aayegi."
Train aayi, 12:16 baje, aur luckily mujhe window seat mil gayi, no. 103. Samne ek ladki aur do uncle baithe the, aur mere side me do aunties aur unka ek chhota beta baitha tha. Train chal padi, aur mai apne sister ko call karne laga. Usse bataya ki mai train me baith gaya hu. Usne mujhe daant lagai, "Pagal! Kuchh khane ke liye le lena chahiye tha, kam se kam kurkure hi le leta!" Maine bas hasa aur kaha, "Chane hain bag me, wahi khaa lunga."
Safar Ka Shuruaat
Train me mai kisi se baat nahi kar raha tha, bas apni book "Atomic Habits" padh raha tha. Bahar ke nazare dekhne ka bhi mann tha, to kabhi kabhi nazar khidki se bahar bhi le jata. Safar abhi shuru hua tha, aur abhi Nashik tak ki journey baaki thi. Aage ki kahani aur Shirdi ke experience ke baare me next part me bataunga.
To be continued...
Comments
Post a Comment