Interview

 Ye kahani thoda emotional karane wali hai kyuki maine kabhi ache se padhai nhi ki to kya aapko lagata hai mai interview me kuchh kar paunga haa aapne bilkul sahi soch kuchh nhi kar paunga interview me to mai exam apane khatam karake 10 din lagatar ghar par baitha raha jisase mere ghar wale pareshan ho gaye jaise ki Mumbai jaise sahar me rahte hu ye bhi mai bs ghar par bhaita rahu aur web series dekhu to kisi ke ghar walo ko acha nhi lagata to mere papa aur bade papa ne decide kiya ki ise pane kam par le chale mai bhi kuchh nhi bola raat ko papa phone karake bole kaam par chalan hai mai bhi bola thik hai mai subaha kam par jane ke liye taiyar ho gaya fir mai kaam par jane laga vo kaam carpenter ka hai 

Mujhe jab kahi pata chalata waha interview hone wala hai to mai chhuti karake waha chala jata hu . Sabase pahale mujhe bhaiya ki company bristlecone se mujhe mail ayaa ki refrel hai aapko job ke liye aaya hai maine bhi haa kar diya fir kaam se chhuti liya aur interview virtual tha to usame mera direct group discussion tha mera first interview wahi tha to meeting me 7 log join huye the usame sir ne hamako 1 question diye jisame bole ki is topic par sab log discussion karo to wo topic tha ekdam simple "is social media kill our creativity "

Bs itana hi tha bhia mai to bs sabka face dekh raha tha sab bole ja rahe the mujhe to koi idea hi nhi tha kya bolu baad me mai ekdam last me bola ek ya do line me to samjh jaao kaisa gaya interview 

Is interview se mai sabak nhi liya fir mere friend ne mujhe ek aur interview ke baare me bataya jo testing ka tha to mai haa kar diya usake sath chalane ke liye 


To mai kaam se fir se chhuti liya aur interview dene chala gaya waha aptitude diya jisame 30 log the sab log pass ho gaye ....ab aaage ki kahani baad me likahat hu bye 



To aage ye huaa ki mai 3kam se kam 4 hours ke baad interview dene gaya waha par jate mai sab bhul gaya jo mai padha tha to mai about yourself me hi atak gaya aur interviewer ne jo question mujhase puchha mai usaka bhi ek bhi ache se answer nhi de paya to interviewer ne bola bhai tujhe aata hai vo bol mai vahi puchhunga mai usi me atak gaya to interviewer ne bola ki tumhara project python me hai aur tum khud se banaye ho to tum development me jao testing me mt jaao to mai bola thik hai thoda nervous huaa aur fir waha se chala gaya mai isame bhi select nhi huaa ab mai soch raha tha development me try karu to ekdin mere friend ne jo kabhi college nhi aata tha lekin usako job lag gai thi development me to usake referral se mai 

Mai usake softtech company me interview dene gaya ab to tum jaan bhi gaye honge mai isame bhi select nhi huaa 


Interviewer ne mujhe do question codi g ke diye mai usaka bhi code nhi likh paya to 

Vo code the finonacci series and array sorting ascending order to mai use bhi nhi likh paya to usane bola beta ja tu fir se padh ke aa thida c# aur dotnet padh kar anaa kyuki meri company me dot net pe hi kaam karate hai to mai bahot jada emotional hogaya ki mera yaha bhi selection nhi huaa aur mere friend ka ho gaya jo kabhi college bhi nhi aata tha socho vo kya sochega sala daily college jata tha interview me kuchh nhi kar paya mai bahot emotional ho gaya aur mujhe thida rona bhi aaraha tha  to mai thoda gusaa bhi tha apne upar ki kya hogya hai mujhe mai itane chhote chhote code bhi nhi

Likh pa raha hu 

That's finish ab mai papa ke kaam furniture karne Carpenter ka kaam karata hu aur job ke liye socha bhi nhi hai aage kya hoga mujhe kuchh nhi pata mai job karunga yaa papa ke sath Carpenter ka kaam karunga thank you guy's bye 


Comments

Popular posts from this blog

जीवदानी यात्रा: मस्ती और भक्ति का संगम

Alas aur Gussa: Zindagi ki Do Dushman Aur Meri Jung